Nigahen Muntazir Hain Kis Ki Dil Ko Justuju Kya Hai

nigahen muntazir hain kis ki dil ko justuju kya hai

mujhe KHud bhi nahin malum meri aarzu kya hai

badalti ja rahi hai karwaTon par karwaTen duniya

kisi surat nahin khulta jahan-e-rang-o-bu kya hai

ye socha dil ko nazr-e-arzu karte hue hum ne

nigah-e-husn-e-KHud-ara mein dil ki aabru kya hai

mujhe ab dekhti hai zindagi yun be-niyazana

ki jaise puchhti ho kaun ho tum justuju kya hai

hua karti hai dil se guftugu be-KHwab raaton mein

magar khulta nahin mujh par ki 'aKHtar' guftugu kya hai

main in aankhon ko kya samjhun ki apni KHana-virani

jinhen ye bhi nahin malum KHun-e-arzu kya hai

kiran suraj ki kahti hai phir aaegi shab-e-hijran

sahar hoti hai 'aKHtar' so raho ye haw-hu kya hai

(3302) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigahen Muntazir Hain Kis Ki Dil Ko Justuju Kya Hai In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Nigahen Muntazir Hain Kis Ki Dil Ko Justuju Kya Hai is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Nigahen Muntazir Hain Kis Ki Dil Ko Justuju Kya Hai for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Nigahen Muntazir Hain Kis Ki Dil Ko Justuju Kya Hai in PDF.