Safar Hi Shart-e-safar Hai To KHatm Kya Hoga

safar hi shart-e-safar hai to KHatm kya hoga

tumhaare ghar se udhar bhi ye rasta hoga

zamana saKHt giran KHwab hai magar ai dil

pukar to sahi koi to jagta hoga

ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu

KHushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga

mera fasana har ek dil ka majra to na tha

suna bhi hoga kisi ne to kya suna hoga

phir aaj sham se paikar jaan o tan mein hai

phir aaj dil ne kisi ko bhula diya hoga

wida kar mujhe ai zindagi gale mil ke

phir aisa dost na tujh se kabhi juda hoga

main KHud se dur hua ja raha hun phir 'aKHtar'

wo phir qarib se ho kar guzar gaya hoga

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Hi Shart-e-safar Hai To KHatm Kya Hoga In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Safar Hi Shart-e-safar Hai To KHatm Kya Hoga is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Safar Hi Shart-e-safar Hai To KHatm Kya Hoga for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Safar Hi Shart-e-safar Hai To KHatm Kya Hoga in PDF.