Sair-gah-e-duniya Ka Hasil-e-tamasha Kya

sair-gah-e-duniya ka hasil-e-tamasha kya

rang-o-nikhat-e-gul par apna tha ijara kya

khel hai mohabbat mein jaan o dil ka sauda kya

dekhiye dikhati hai ab ye zindagi kya kya

jab bhi ji umaD aaya ro liye ghaDi bhar ko

aansuon ki barish se mausamon ka rishta kya

kab sar-e-nazara tha hum ko bazm-e-alam ka

yun bhi dekh kar tum ko aur dekhna tha kya

dard be-dawa apna baKHt na-rasa apna

ai nigah-e-be-parwa tujh se hum ko shikwa kya

be-sawal aankhon se munh chhupa rahe ho kyun

meri chashm-e-hairan mein hai koi taqaza kya

haal hai na mazi hai waqt ka tasalsul hai

raat ka andhera kya subh ka ujala kya

jo hai ji mein kah dije un ke ru-ba-ru 'aKHtar'

arz-e-haal ki KHatir DhunDiye bahana kya

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair-gah-e-duniya Ka Hasil-e-tamasha Kya In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Sair-gah-e-duniya Ka Hasil-e-tamasha Kya is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Sair-gah-e-duniya Ka Hasil-e-tamasha Kya for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Sair-gah-e-duniya Ka Hasil-e-tamasha Kya in PDF.