Tum Se ChhuT Kar Zindagi Ka Naqsh-e-pa Milta Nahin

tum se chhuT kar zindagi ka naqsh-e-pa milta nahin

phir raha hun ku-ba-ku apna pata milta nahin

main hun ya phirta hai koi aur mere bhes mein

kis se puchhun koi surat-ashna milta nahin

naqsh-e-hairat hi na tha pursan-e-haal-e-gham bhi tha

tum ne jo toDa hai ab wo aaina milta nahin

na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye

tum qarib aate nahin ho aur KHuda milta nahin

us ke dil se apna andaz-e-taghaful puchhiye

jis ke dil ko dard ka bhi aasra milta nahin

ek na ek rishta isi duniya se tha apna kabhi

sochta hun aur koi silsila milta nahin

koi sae ki tarah chalta hai 'aKHtar' sath sath

dostdar-e-dil hai lekin barmala milta nahin

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Se ChhuT Kar Zindagi Ka Naqsh-e-pa Milta Nahin In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Tum Se ChhuT Kar Zindagi Ka Naqsh-e-pa Milta Nahin is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Tum Se ChhuT Kar Zindagi Ka Naqsh-e-pa Milta Nahin for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Tum Se ChhuT Kar Zindagi Ka Naqsh-e-pa Milta Nahin in PDF.