Ek Ajab Aalam Hai Dil Ka Zindagi Ki Rah Mein

ek ajab aalam hai dil ka zindagi ki rah mein

dekhta hun kuchh kami si husn-e-mahr-o-mah mein

us ke hote bhi main ek ehsas-e-tanhai mein hun

jalwa-gar hai wo jo muddat se dil-e-agah mein

dur ho kar mujh se chalti hai hawa-e-jaan-faza

ji raha hun phir bhi aise mausam-e-jaankah mein

har qadam par kyun Daraati hai mujhe ye zindagi

ye jo meri raushni thi zulmaton ki rah mein

kaise uTThun tere dar se ai jahan-e-arzu

ek aalam ko sameTe daman-e-kotah mein

ai parastaran-e-duniya dil ki duniya hai kuchh aur

kaun Thokar khae bin rahta hai us ki rah mein

ab na pahchane koi 'aKHtar' to is ka kya ilaj

umr sari kaT di hai tu ne rasm-o-rah mein

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ajab Aalam Hai Dil Ka Zindagi Ki Rah Mein In English By Famous Poet Akhtar Saeedi. Ek Ajab Aalam Hai Dil Ka Zindagi Ki Rah Mein is written by Akhtar Saeedi. Read famous Poem Ek Ajab Aalam Hai Dil Ka Zindagi Ki Rah Mein for youth and Student by Akhtar Saeedi. Free Download Ek Ajab Aalam Hai Dil Ka Zindagi Ki Rah Mein in PDF.