Muddaton Jo Rahe Bahaaron Mein

muddaton jo rahe bahaaron mein

aaj wo ghir gae hain kanTon mein

main ki sahra-naward hun lekin

parwarish chahta hun phulon mein

aks tera dikhai deta hai

bahte pani ki naram lahron mein

khul gae KHwahishon ke darwaze

phir bhi koi nahin hai banhon mein

jo mahakte hain KHushbuon ki tarah

lams tera hai un gulabon mein

kar-farma dikhai deta hai

mera ehsas mere jazbon mein

aaj hum se bichhaD gaya 'aKHtar'

tazkira ho raha tha logon mein

(628) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Muddaton Jo Rahe Bahaaron Mein In English By Famous Poet Akhtar Saeedi. Muddaton Jo Rahe Bahaaron Mein is written by Akhtar Saeedi. Read famous Poem Muddaton Jo Rahe Bahaaron Mein for youth and Student by Akhtar Saeedi. Free Download Muddaton Jo Rahe Bahaaron Mein in PDF.