Lafz Likhna Hai To Phir Kaghaz Ki Niyyat Se Na Dar

lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar

is qadar izhaar ki be-manawiyyat se na Dar

dekh! gulshan mein abhi shaKH-e-tahayyur banjh hai

phul hona hai to khilne ki aziyyat se na Dar

hamrah-e-mausam safar ki bastiyon ke darmiyan

naqsh-bar-diwar barish ki wasiyyat se na Dar

ek halki si sada to bin zaban rakhta hai tu

chaar jaanib KHamushi ki aksariyyat se na Dar

aasman ek din patinga ho sar-e-sham-e-zamin

mom kar apne lahu ko jal aziyyat se na Dar

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Likhna Hai To Phir Kaghaz Ki Niyyat Se Na Dar In English By Famous Poet Akhtar Sheikh. Lafz Likhna Hai To Phir Kaghaz Ki Niyyat Se Na Dar is written by Akhtar Sheikh. Read famous Poem Lafz Likhna Hai To Phir Kaghaz Ki Niyyat Se Na Dar for youth and Student by Akhtar Sheikh. Free Download Lafz Likhna Hai To Phir Kaghaz Ki Niyyat Se Na Dar in PDF.