Dil Mein KHayal-e-nargis-e-jaanana Aa Gaya

dil mein KHayal-e-nargis-e-jaanana aa gaya

phulon se khelta hua diwana aa gaya

baadal ke uThte hi mai o paimana aa gaya

bijli ke sath sath pari-KHana aa gaya

maston ne is ada se kiya raqs-e-nau-bahaar

paimana kya ki wajd mein mai-KHana aa gaya

us chashm-e-mai-farosh ki tasir kya kahun

honTon tak aaj aap hi paimana aa gaya

malum kis ko qais ki diwangi ki shan

hangama sa bapa hai ki diwana aa gaya

'aKHtar' ghazab thi ahd-e-jawani ki dastan

aankhon ke aage ek pari-KHana aa gaya

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein KHayal-e-nargis-e-jaanana Aa Gaya In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Dil Mein KHayal-e-nargis-e-jaanana Aa Gaya is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Dil Mein KHayal-e-nargis-e-jaanana Aa Gaya for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Dil Mein KHayal-e-nargis-e-jaanana Aa Gaya in PDF.