KHayalistan-e-hasti Mein Agar Gham Hai KHushi Bhi Hai

KHayalistan-e-hasti mein agar gham hai KHushi bhi hai

kabhi aankhon mein aansu hain kabhi lab par hansi bhi hai

inhi gham ki ghaTaon se KHushi ka chand niklega

andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai

yunhi takmil hogi hashr tak taswir-e-hasti ki

har ek takmil aaKHir mein payam-e-nesti bhi hai

ye wo saghar hai sahba-e-KHudi se pur nahin hota

hamare jam-e-hasti mein sarishk-e-be-KHudi bhi hai

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayalistan-e-hasti Mein Agar Gham Hai KHushi Bhi Hai In English By Famous Poet Akhtar Shirani. KHayalistan-e-hasti Mein Agar Gham Hai KHushi Bhi Hai is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem KHayalistan-e-hasti Mein Agar Gham Hai KHushi Bhi Hai for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download KHayalistan-e-hasti Mein Agar Gham Hai KHushi Bhi Hai in PDF.