Kis Ki Aankhon Ka Liye Dil Pe Asar Jate Hain

kis ki aankhon ka liye dil pe asar jate hain

mai-kade hath baDhate hain jidhar jate hain

dil mein arman-e-visal aankh mein tufan-e-jamal

hosh baqi nahin jaane ka magar jate hain

bhulti hi nahin dil ko teri mastana nigah

sath jata hai ye mai-KHana jidhar jate hain

pasbanan-e-haya kya hue ai daulat-e-husn

hum chura kar teri duz-dida nazar jate hain

pursish-e-dil to kuja ye bhi na puchha us ne

hum musafir kidhar aae the kidhar jate hain

chashm-e-hairan mein samae hain ye kis ke jalwe

tur har gam pe raqsan hain jidhar jate hain

jis tarah bhule musafir koi saman apna

hum yahan bhul ke dil aur nazar jate hain

kitne bedard hain is shahr ke rahne wale

rah mein chhin ke dil kahte hain ghar jate hain

agle waqton mein luTa karte the rah-rau aksar

hum to is ahd mein bhi luT ke magar jate hain

faizabad se pahuncha hamein ye faiz 'aKHtar'

ki jigar par liye hum dagh-e-jigar jate hain

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ki Aankhon Ka Liye Dil Pe Asar Jate Hain In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Kis Ki Aankhon Ka Liye Dil Pe Asar Jate Hain is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Kis Ki Aankhon Ka Liye Dil Pe Asar Jate Hain for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Kis Ki Aankhon Ka Liye Dil Pe Asar Jate Hain in PDF.