Meri Aankhon Se Zahir KHun-fishani Ab Bhi Hoti Hai

meri aankhon se zahir KHun-fishani ab bhi hoti hai

nigahon se bayan dil ki kahani ab bhi hoti hai

surur-ara sharab-e-arghawani ab bhi hoti hai

mere qadmon mein duniya ki jawani ab bhi hoti hai

koi jhonka to lati ai nasim atraf-e-kanan tak

sawad-e-misr mein ambar-fishani ab bhi hoti hai

wo shab ko mushk-bu pardon mein chhup kar aa hi jate hain

mere KHwabon par un ki mehrbani ab bhi hoti hai

kahin se hath aa jae to hum ko bhi koi la de

suna hai is jahan mein shadmani ab bhi hoti hai

hilal o badr ke naqshe sabaq dete hain insan ko

ki nakaami bina-e-kaamrani ab bhi hoti hai

kahin aghyar ke KHwabon mein chhup chhup kar na jate hon

wo pahlu mein hain lekin bad-gumani ab bhi hoti hai

samajhta hai shikast-e-tauba ashk-e-tauba ko zahid

meri aankhon ki rangat arghawani ab bhi hoti hai

wo barsaten wo baaten wo mulaqaten kahan hamdam

watan ki raat hone ko suhani ab bhi hoti hai

KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein

hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai

zaban hi mein na ho tasir to main kya karun naseh

teri baaton se paida sargirani ab bhi hoti hai

tumhaare gesuon ki chhanw mein ek raat guzri thi

sitaron ki zaban par ye kahani ab bhi hoti hai

pas-e-tauba bhi pi lete hain jam-e-ghuncha-o-gul se

bahaaron mein junun ki mehmani ab bhi hoti hai

koi KHush ho meri mayusiyan fariyaad karti hain

ilahi kya jahan mein shadmani ab bhi hoti hai

buton ko kar diya tha jis ne majbur-e-suKHan 'aKHtar'

labon par wo nawa-e-asmani ab bhi hoti hai

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Aankhon Se Zahir KHun-fishani Ab Bhi Hoti Hai In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Meri Aankhon Se Zahir KHun-fishani Ab Bhi Hoti Hai is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Meri Aankhon Se Zahir KHun-fishani Ab Bhi Hoti Hai for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Meri Aankhon Se Zahir KHun-fishani Ab Bhi Hoti Hai in PDF.