Main Aarzu-e-jaan Likhun Ya Jaan-e-arzu!

main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!

tu hi bata de naz se iman-e-arzu!

aansu nikal rahe hain tasawwur mein ban ke phul

shadab ho raha hai gulistan-e-arzu!

iman o jaan nisar teri ek nigah par

tu jaan-e-arzu hai tu iman-e-arzu!

hone ko hai tulu sabah-e-shab-e-visal

bujhne ko hai charagh-e-shabistan-e-arzu!

ek wo ki aarzuon pe jite hain umr bhar

ek hum ki hain abhi se pashiman-e-arzu!

aankhon se ju-e-KHun hai rawan dil hai dagh dagh

dekhe koi bahaar-e-gulistan-e-arzu!

dil mein nashat-e-rafta ki dhundli si yaad hai

ya sham-e-wasl hai tah-e-daman-e-arzu!

'aKHtar' ko zindagi ka bharosa nahin raha

jab se luTa chuke sar-o-saman-e-arzu!

(1408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aarzu-e-jaan Likhun Ya Jaan-e-arzu! In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Main Aarzu-e-jaan Likhun Ya Jaan-e-arzu! is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Main Aarzu-e-jaan Likhun Ya Jaan-e-arzu! for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Main Aarzu-e-jaan Likhun Ya Jaan-e-arzu! in PDF.