Mohabbat Ki Duniya Mein Mashhur Kar Dun

mohabbat ki duniya mein mashhur kar dun

meri sada-dil tujh ko maghrur kar dun

tere dil ko milne ki KHud aarzu ho

tujhe is qadar gham se ranjur kar dun

mujhe zindagi dur rakhti hai tujh se

jo tu pas ho to use dur kar dun

mohabbat ke iqrar se sharm kab tak

kabhi samna ho to majbur kar dun

mere dil mein hai shola-e-husn raqsan

main chahun to har zarre ko tur kar dun

ye be-rangiyan kab tak ai husn-e-rangin

idhar aa tujhe ishq mein chur kar dun

tu gar samne ho to main be-KHudi mein

sitaron ko sajde pe majbur kar dun

siyah-KHana-e-gham hai saqi zamana

bas ek jam aur nur hi nur kar dun

nahin zindagi ko wafa warna 'aKHtar'

mohabbat se duniya ko mamur kar dun

(1210) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ki Duniya Mein Mashhur Kar Dun In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Mohabbat Ki Duniya Mein Mashhur Kar Dun is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Mohabbat Ki Duniya Mein Mashhur Kar Dun for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Mohabbat Ki Duniya Mein Mashhur Kar Dun in PDF.