Na Bhul Kar Bhi Tamanna-e-rang-o-bu Karte

na bhul kar bhi tamanna-e-rang-o-bu karte

chaman ke phul agar teri aarzu karte

janab-e-shaiKH pahunch jate hauz-e-kausar tak

agar sharab se mai-KHane mein wazu karte

masarrat aah tu basti hai kin sitaron mein

zamin pe umr hui teri justuju karte

ayagh-e-baada mein aa kar wo KHud chhalak paDta

gar us ke mast zara aur hao hu karte

unhen mafar na tha iqrar-e-ishq se lekin

haya ko zid thi ki wo pas-e-abru karte

pukar uThta wo aa kar dilon ki dhaDkan mein

hum apne sine mein gar us ki justuju karte

gham-e-zamana ne majbur kar diya warna

ye aarzu thi ki bas teri aarzu karte

giran tha saqi-e-dauran pe ek saghar bhi

to kis umid pe hum KHwahish-e-subu karte

junun-e-ishq ki tasir to ye thi 'aKHtar'

ki hum nahin wo KHud izhaar-e-arzu karte

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Bhul Kar Bhi Tamanna-e-rang-o-bu Karte In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Na Bhul Kar Bhi Tamanna-e-rang-o-bu Karte is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Na Bhul Kar Bhi Tamanna-e-rang-o-bu Karte for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Na Bhul Kar Bhi Tamanna-e-rang-o-bu Karte in PDF.