Na Wo KHizan Rahi Baqi Na Wo Bahaar Rahi

na wo KHizan rahi baqi na wo bahaar rahi

rahi to meri kahani hi yaadgar rahi

wahi nazar hai nazar jo bain-hama pasti

sitara-gir rahi kahkashan shikar rahi

shab-e-bahaar mein taron se khelne wale

kisi ki aankh bhi shab bhar sitara-bar rahi

tamam umr raha garche main tahi-pahlu

basi hui mere pahlu mein bu-e-yar rahi

koi aziz na Thahra hamare dafn ke baad

rahi jo pas to shama sar-e-mazar rahi

wo phul hun jo khila ho KHizan ke mausam mein

tamam umr mujhe hasrat-e-bahaar rahi

kabhi na bhulengi us shab ki lazzaten 'aKHtar'

ki mere sine pe wo zulf-e-mushk-bar rahi

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Wo KHizan Rahi Baqi Na Wo Bahaar Rahi In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Na Wo KHizan Rahi Baqi Na Wo Bahaar Rahi is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Na Wo KHizan Rahi Baqi Na Wo Bahaar Rahi for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Na Wo KHizan Rahi Baqi Na Wo Bahaar Rahi in PDF.