Nikhat-e-zulf Se Nindon Ko Basa De Aa Kar

nikhat-e-zulf se nindon ko basa de aa kar

meri jagi hui raaton ko sula de aa kar

fikr-e-farda o gham-e-dosh bhula de aa kar

phir usi naz se diwana bana de aa kar

ishq ko naghma-e-ummid suna de aa kar

dil ki soi hui qismat ko jaga de aa kar

kis qadar tera o tarik hai duniya-e-hayat

jalwa-e-husn se ek shama jala de aa kar

ishq ki chandni raaten mujhe yaad aati hain

umr-e-rafta ko meri mujh se mila de aa kar

zindagi ban ke mere dil mein sama ja salma

maut ek parda hai ye parda uTha de aa kar

aag si dil mein laga jata hai tera har KHat

aa mere KHirman-e-hasti ko jala de aa kar

teri furqat mein mere sher hain kitne ghamgin

muskuraati hui nazron se hansa de aa kar

phir wahi hum hon wahi din hon wahi raaten hon

ahd-e-rafta ko phir aaina dikha de aa kar

shauq-e-nadida mein lazzat hai magar naz nahin

aa mere ishq ko maghrur bana de aa kar

shab-e-furqat pe meri hanste hain ai KHanda-e-nur

mere qadmon pe sitaron ko gira de aa kar

tishna-e-husn hun ai saqi-mai-KHana-e-husn

apne honTon se phir ek jam pila de aa kar

kab talak raunaq-e-sham-e-awadh ai mah-e-rawan

sham-e-lahore ko bhi subh bana de aa kar

ho chuki sair-e-bahaaran-kada-e-qaisar-bagh

bagh-e-lawrence mein bhi phul khila de aa kar

gomti dekh chuki jalwa-e-ariz ki bahaar

sath-e-rawi ko bhi aaina bana de aa kar

tera ruman naya KHwab hai 'aKHtar' ke liye

aa aur is KHwab ki tabir bata de aa kar

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikhat-e-zulf Se Nindon Ko Basa De Aa Kar In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Nikhat-e-zulf Se Nindon Ko Basa De Aa Kar is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Nikhat-e-zulf Se Nindon Ko Basa De Aa Kar for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Nikhat-e-zulf Se Nindon Ko Basa De Aa Kar in PDF.