Wo Kahte Hain Ranjish Ki Baaten Bhula Den

wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den

mohabbat karen KHush rahen muskura den

ghurur aur hamara ghurur-e-mohabbat

mah o mehr ko un ke dar par jhuka den

jawani ho gar jawedani to ya rab

teri sada duniya ko jannat bana den

shab-e-wasl ki be-KHudi chha rahi hai

kaho to sitaron ki shamen bujha den

bahaaren simaT aaen khil jaen kaliyan

jo hum tum chaman mein kabhi muskura den

ibaadat hai ek be-KHudi se ibarat

haram ko mai-e-mushk-bu se basa den

wo aaenge aaj ai bahaar-e-mohabbat

sitaron ke bistar pe kaliyan bichha den

banata hai munh talKHi-e-mai se zahid

tujhe bagh-e-rizwan se kausar manga den

jinhen umr bhar yaad aana sikhaya

wo dil se teri yaad kyunkar bhula den

tum afsana-e-qais kya puchhte ho

idhar aao hum tum ko laila bana den

ye be-dardiyan kab tak ai dard-e-ghurbat

buton ko phir arz-e-haram mein basa den

wo sarmastiyan baKHsh ai rashk-e-shirin

ki KHusru ko KHwab-e-adam se jaga den

tere wasl ki be-KHudi kah rahi hai

KHudai to kya hum KHuda ko bhula den

unhen apni surat pe yun naz kab tha

mere ishq-e-ruswa ko 'aKHtar' dua den

(1020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kahte Hain Ranjish Ki Baaten Bhula Den In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Wo Kahte Hain Ranjish Ki Baaten Bhula Den is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Wo Kahte Hain Ranjish Ki Baaten Bhula Den for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Wo Kahte Hain Ranjish Ki Baaten Bhula Den in PDF.