Yaqin-e-wada Nahin Tab-e-intizar Nahin

yaqin-e-wada nahin tab-e-intizar nahin

kisi tarah bhi dil-e-zar ko qarar nahin

shabon ko KHwab nahin KHwab ko qarar nahin

ki zeb-e-dosh wo gesu-e-mushk-bar nahin

kali kali mein samai hai nikhat-e-salma

shamim-e-hur hai ye bu-e-nau-bahaar nahin

kahan kahan na hue mah-ru juda mujh se

kahan kahan meri ummid ka mazar nahin

ghamon ki fasl hamesha rahi tar o taza

ye wo KHizan hai ki sharminda-e-bahaar nahin

bahaar aai hai aise mein tum bhi aa jao

ki zindagi ka ba-rang-e-gul e'tibar nahin

kisi ki zulf-e-pareshan ka saya-e-raqsan hai

faza mein baal-fishan abr-e-nau-bahaar nahin

sitara-war wo pahlu mein aa gae shab ko

sahar se kah do ki mahfil mein aaj bar nahin

gul-e-fasurda bhi ek turfa husn rakhta hai

KHizan ye hai to mujhe hasrat-e-bahaar nahin

har ek jam pe ye naghma-e-hazin saqi

ki is jawani-e-fani ka e'tibar nahin

KHuda ne baKHsh diye mere dil ko gham itne

ki ab main apne gunahon pe sharmsar nahin

chaman ki chandni raaten hain kis qadar viran

ki is bahaar mein wo mah-e-nau-bahaar nahin

sharik-e-soz hain parwane shama ke 'aKHtar'

hamare dil ka magar koi gham-gusar nahin

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin-e-wada Nahin Tab-e-intizar Nahin In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Yaqin-e-wada Nahin Tab-e-intizar Nahin is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Yaqin-e-wada Nahin Tab-e-intizar Nahin for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Yaqin-e-wada Nahin Tab-e-intizar Nahin in PDF.