Laraz UTha Hai Mere Dil Mein Kyun Na Jaane Diya

laraz uTha hai mere dil mein kyun na jaane diya

tera payam to KHamosh si hawa ne diya

jala raha tha mujhe main ne bhi jalane diya

ujala us ne diya bhi to kis bahane diya

abhi kuchh aur Thahar jata mere kahne par

wo jaane wala tha KHud hi so main ne jaane diya

wo apni sair ke qisse mujhe sunata raha

mujhe to haal-e-dil us ne kahan sunane diya

main shukr us ka na kaise ada karun jaanan

shuur mujh ko mohabbat ka jis KHuda ne diya

karam ke pal mein ye raushan hua ba-hamdillah

nahin bujhega mera tujh se ai zamane diya

'shumar' samne us ke bhi guftugu ke waqt

jo rang chehre pe aaya tha main ne aane diya

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laraz UTha Hai Mere Dil Mein Kyun Na Jaane Diya In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Laraz UTha Hai Mere Dil Mein Kyun Na Jaane Diya is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Laraz UTha Hai Mere Dil Mein Kyun Na Jaane Diya for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Laraz UTha Hai Mere Dil Mein Kyun Na Jaane Diya in PDF.