PaDe The Hum Bhi Jahan Raushni Mein Bikhre Hue

paDe the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue

kai sitare mile us gali mein bikhre hue

meri kahani se pahle hi jaan le pyare

ki hadse hain meri zindagi mein bikhre hue

dhanak si aankh kahe bansuri ki lai mein mujhe

sitare DhunD ke la naghmagi mein bikhre hue

main pur-sukun rahun jhil ki tarah yani

kisi KHayal kisi KHamushi mein bikhre hue

wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar'

aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PaDe The Hum Bhi Jahan Raushni Mein Bikhre Hue In English By Famous Poet Akhtar Shumar. PaDe The Hum Bhi Jahan Raushni Mein Bikhre Hue is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem PaDe The Hum Bhi Jahan Raushni Mein Bikhre Hue for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download PaDe The Hum Bhi Jahan Raushni Mein Bikhre Hue in PDF.