Sari KHilqat Ek Taraf Thi Aur Diwana Ek Taraf

sari KHilqat ek taraf thi aur diwana ek taraf

tere liye main panw pe apne jam ke khaDa tha ek taraf

ek ek kar ke har manzil ki samt hi bhul raha tha main

dhire dhire khinch raha tha tera rishta ek taraf

donon se main bach kar tere KHwab-o-KHayal se guzar gaya

dil ka sahra ek taraf tha aankh ka dariya ek taraf

aage aage bhag raha hun ab wo mere pichhe hai

ek din teri chah mein ki thi main ne duniya ek taraf

dusri jaanib ek baadal ne baDh kar Dhanp liya tha chand

aur aankhon mein Dub raha tha dil ka sitara ek taraf

waqt-juari ki baiThak mein jo aaya so haar gaya

'aKHtar' ek din main bhi daman jhaD ke nikla ek taraf

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sari KHilqat Ek Taraf Thi Aur Diwana Ek Taraf In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Sari KHilqat Ek Taraf Thi Aur Diwana Ek Taraf is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Sari KHilqat Ek Taraf Thi Aur Diwana Ek Taraf for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Sari KHilqat Ek Taraf Thi Aur Diwana Ek Taraf in PDF.