Sitara Le Gaya Hai Mera Aasman Se Kaun

sitara le gaya hai mera aasman se kaun

utar raha hai 'shumar' aaj mere dhyan se kaun

abhi safar mein koi moD hi nahin aaya

nikal gaya hai ye chup-chap dastan se kaun

lahu mein aag laga kar ye kaun hansta hai

ye intiqam sa leta hai ruh o jaan se kaun

ye dar chum ke muska raha hai kaun udhar

guzar raha hai tumhaare ye imtihan se kaun

zamin chhoDna filhaal mere bas mein nahin

dikhai dene laga phir ye aasman se kaun

(1108) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitara Le Gaya Hai Mera Aasman Se Kaun In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Sitara Le Gaya Hai Mera Aasman Se Kaun is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Sitara Le Gaya Hai Mera Aasman Se Kaun for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Sitara Le Gaya Hai Mera Aasman Se Kaun in PDF.