Tere Baghair Masafat Ka Gham Kahan Kam Hai

tere baghair masafat ka gham kahan kam hai

magar ye dukh ki meri umr-e-raegan kam hai

meri nigah ki wusat bhi is mein shamil kar

meri zamin pe tera ye aasman kam hai

tujhe KHabar bhi kahan hai mere iradon ki

tu meri sochti aankhon ka raaz-dan kam hai

isi se ho gae manus tairan-e-chaman

wo jo ki bagh ka dushman hai baghban kam hai

agarche shahr mein phaili kahaniyan hain bahut

koi bhi sunne-sunane ko dastan kam hai

nigah o dil pe khuli hain haqiqaten kaisi

ye dil udas ziyaada hai shadman kam hai

ab is se baDh ke bhi koi hai pul-siraat abhi

main ji raha hun yahan jaise imtihan kam hai

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Baghair Masafat Ka Gham Kahan Kam Hai In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Tere Baghair Masafat Ka Gham Kahan Kam Hai is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Tere Baghair Masafat Ka Gham Kahan Kam Hai for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Tere Baghair Masafat Ka Gham Kahan Kam Hai in PDF.