Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Bhi Nahin

us ke nazdik gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin

mutmain aisa hai wo jaise hua kuchh bhi nahin

ab to hathon se lakiren bhi miTi jati hain

us ko kho kar to mere pas raha kuchh bhi nahin

chaar din rah gae mele mein magar ab ke bhi

us ne aane ke liye KHat mein likha kuchh bhi nahin

kal bichhaDna hai to phir ahd-e-wafa soch ke bandh

abhi aaghaz-e-mohabbat hai gaya kuchh bhi nahin

main to is waste chup hun ki tamasha na bane

tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin

ai 'shumar' aankhen isi tarah bichhae rakhna

jaane kis waqt wo aa jae pata kuchh bhi nahin

(9489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Bhi Nahin is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Uske Nazdik Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Bhi Nahin in PDF.