Zara Si Der Thi Bas Ek Diya Jalana Tha

zara si der thi bas ek diya jalana tha

aur is ke baad faqat aandhiyon ko aana tha

main ghar ko phunk raha tha baDe yaqin ke sath

ki teri rah mein pahla qadam uThana tha

wagarna kaun uThata ye jism o jaan ke azab

ye zindagi to mohabbat ka ek bahana tha

ye kaun shaKHs mujhe kirchiyon mein banT gaya

ye aaina to mera aaKHiri Thikana tha

pahaD bhanp raha tha mere irade ko

wo is liye bhi ki tesha mujhe uThana tha

bahut sambhaal ke laya hun ek sitare tak

zamin par jo mere ishq ka zamana tha

mila to aise ki sadiyon ki aashnai ho!

taaruf us se bhi haalanki ghaebana tha

main apni KHak mein rakhta hun jis ko sadiyon se

ye raushni bhi kabhi mera aastana tha

main hath hathon mein us ke na de saka tha 'shumar'

wo jis ki muTThi mein lamha baDa suhana tha

(1282) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Si Der Thi Bas Ek Diya Jalana Tha In English By Famous Poet Akhtar Shumar. Zara Si Der Thi Bas Ek Diya Jalana Tha is written by Akhtar Shumar. Read famous Poem Zara Si Der Thi Bas Ek Diya Jalana Tha for youth and Student by Akhtar Shumar. Free Download Zara Si Der Thi Bas Ek Diya Jalana Tha in PDF.