Phir Wahi Shab Ke Sarabon Ka Chalan!

phir wahi KHwab-numa

shab ke sarabon ka chalan jari hai

shab ki is bar safiran-e-chaman

aur bhi kuchh bhaari hai

gul pe shabnam pe anadil pe

saba aur hawa sab pe

wahi sehr-e-alam tari hai

phir usi tarz-e-kuhan

mein naya andaz-e-fusun-kari hai

saKHt mushkil mein hain

ai jaan-e-wafa arz-e-watan

harf-e-maqsud raqibon ko gawara bhi nahin

kya karen sabr ka yara bhi nahin

kaise tamir ki tazin ki phir baat karen

KHun-e-dil nazr-e-giran-bari-e-auqat karen

hum tahi-dast jo aahon mein asar mangte hain

sabz-o-shadab hasin KHuld-e-nazar mangte hain

apni majbur tamanna ka nagar mangte hain

ek be-dagh sahar mangte hain!!

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wahi Shab Ke Sarabon Ka Chalan! In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Phir Wahi Shab Ke Sarabon Ka Chalan! is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Phir Wahi Shab Ke Sarabon Ka Chalan! for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Phir Wahi Shab Ke Sarabon Ka Chalan! in PDF.