Gham Ka Aahang Hai

gham ka aahang hai

is sham ki tanhai mein

dam-e-nairang hai

aaghaz ka anjam liye

koi naghma koi KHushbu nahin

purwai mein

dil ke aaine mein

aur ruh ki gahrai mein

ek hi aks kai nam liye

raqs mein hai

partaw-e-husn-e-dil-aram liye

phir tere dhyan mein baiTha hun

tahi jam liye

hasrat-e-sai-talab

be-sar-o-saman bhi hai

saKHt haijaan bhi hai

jalte bujhte se diye

zist ki pahnai mein

waqt ki jhil mein

yaadon ke kanwal

dur tak dhund ke malbus mein

manus nuqush

chandni raat pawan

taj-mahal

talKH mazi ki hikayat hain

aur haal ke afsane bhi

muntashir KHwab hain

viran sanam-KHane bhi

han magar yaad

tere wasl ka paiman bhi hai

ek muddat se

teri did ka arman bhi hai!!

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ka Aahang Hai In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Gham Ka Aahang Hai is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Gham Ka Aahang Hai for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Gham Ka Aahang Hai in PDF.