Aaina Dekhta Hun

main jab kabhi

do ghaDi

ghaur se aaina dekhta hun

to mazi ke

uljhe hue roz o shab

ki shanasa lakiron

mein dhundli tasawir

mahaul se be-KHabar bolti hain

ki jaise kisi ajnabi shaKHs ki

zindagi ki hasin saaton

dil-ruba hasraton

aur

umangon ke koh-e-nida ke

tilismat-e-KHufta ke dar kholti hain

mein hairan sa

der tak sochta hun

main apne sarapa ke miTte nishanat ko

haal ke zaichon se

juda jaanta hun

mujhe waqt ki tez raftar se

jism ki haar se

KHauf aata hai

phir bhi

ghaDi do ghaDi ke liye

aaina dekhta hun

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina Dekhta Hun In English By Famous Poet Akhtar Ziai. Aaina Dekhta Hun is written by Akhtar Ziai. Read famous Poem Aaina Dekhta Hun for youth and Student by Akhtar Ziai. Free Download Aaina Dekhta Hun in PDF.