Guzarte DauDte Lamhe Hisab Mein Likhiye

guzarte dauDte lamhe hisab mein likhiye

haqiqaton ki tamanna bhi KHwab mein likhiye

aziyyaten hi na apni kitab mein likhiye

sukun ka pal bhi to sanson ke bab mein likhiye

har ek harf se jine ka fan numayan ho

kuchh is tarah ki ibarat nisab mein likhiye

har ek jumbish-e-lab aur dil ki har dhaDkan

sada yaqin bani inqalab mein likhiye

basiraton ki ziya par na harf aa jae

main aql-o-hosh abhi tak hijab mein likhiye

sawal ban ke ubharte hain dard ke suraj

sukun ka chand hi sab ke jawab mein likhiye

mili hain din ki adhuri masafaten shab ko

chamakte sham-o-sahar kis hisab mein likhiye

sulagte jism ka ehsas dard ke jugnu

andheri shab ke guzarte hisab mein likhiye

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzarte DauDte Lamhe Hisab Mein Likhiye In English By Famous Poet Akmal Imaam. Guzarte DauDte Lamhe Hisab Mein Likhiye is written by Akmal Imaam. Read famous Poem Guzarte DauDte Lamhe Hisab Mein Likhiye for youth and Student by Akmal Imaam. Free Download Guzarte DauDte Lamhe Hisab Mein Likhiye in PDF.