Hijr Ki Sham Se ZaKHmon Ke Doshaale Mangun

hijr ki sham se zaKHmon ke doshaale mangun

main siyahi ke samundar se ujale mangun

jab nai nasl nai tarz se jina chahe

kyun na us ahd se dastur nirale mangun

apne ehsas ke sahra mein taqaddus chahun

apne jazbaat ki ghaTi mein shiwale mangun

apni aankhon ke liye dard ke aansu DhunDun

apne qadmon ke liye phul se chhaale mangun

har nae moD pe chahun nae rishton ka hujum

har qadam par main nae chahne wale mangun

apne ehsas ki shiddat ko bujhane ke liye

main nai tarz ke KHush-fikr risale mangon

din ki saDkon pe saja kar nai subhen 'akmal'

shab ki chaukhaT ke liye aahani tale mangon

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Sham Se ZaKHmon Ke Doshaale Mangun In English By Famous Poet Akmal Imaam. Hijr Ki Sham Se ZaKHmon Ke Doshaale Mangun is written by Akmal Imaam. Read famous Poem Hijr Ki Sham Se ZaKHmon Ke Doshaale Mangun for youth and Student by Akmal Imaam. Free Download Hijr Ki Sham Se ZaKHmon Ke Doshaale Mangun in PDF.