PaD Gai Jaise Aql Par MiTTi

paD gai jaise aql par miTTi

KHak manzil hai rahguzar miTTi

moD sakte hain gili hone tak

TuT jati hai sukh kar miTTi

be-zamiri jafa-kashi nafrat

nam badle hue hai har miTTi

phir bhi zalim ki pyas baqi hai

ho chuki hai lahu mein tar miTTi

aao taza musalahat kar len

pichhli baaton pe Dal kar miTTi

jitne farman the buzurgon ke

ho gae aaj be-asar miTTi

kapDe si si ke ghar chalati hai

hai wo kambaKHt kitni nar miTTi

ungliyon ke hunar se ai 'akmal'

shakl pati hai chaak par miTTi

(650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PaD Gai Jaise Aql Par MiTTi In English By Famous Poet Akmal Imaam. PaD Gai Jaise Aql Par MiTTi is written by Akmal Imaam. Read famous Poem PaD Gai Jaise Aql Par MiTTi for youth and Student by Akmal Imaam. Free Download PaD Gai Jaise Aql Par MiTTi in PDF.