Pyar Ishq Hamdardi Aur Dosti Sazish

pyar ishq hamdardi aur dosti sazish

mere sath hoti hai rose ek nai sazish

aane wale lamhon ke hum mizaj-dan Thahre

kaise kar sakegi phir hum se zindagi sazish

wo KHud-e'timadi ka aaina raha hoga

warna ek muddat tak muntazir rahi sazish

le chali hain sahil par mujh ko sar-phiri maujen

jaise ye bhi tufan ki ho koi nai sazish

main ghane andheron ka saya sath rakhta hun

mere sath kar jae aur raushni sazish

us ki apni chaalon ne us pe war kar Dala

waqt ke badalte hi ruKH badal gai sazish

'akmal' aaj ka insan kitna be-tahammul hai

dil mein kuchh KHalish ubhri aur dagh di sazish

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyar Ishq Hamdardi Aur Dosti Sazish In English By Famous Poet Akmal Imaam. Pyar Ishq Hamdardi Aur Dosti Sazish is written by Akmal Imaam. Read famous Poem Pyar Ishq Hamdardi Aur Dosti Sazish for youth and Student by Akmal Imaam. Free Download Pyar Ishq Hamdardi Aur Dosti Sazish in PDF.