Aankhon Mein KHwab Taza Hai Dil Mein Naya KHayal Bhi

aankhon mein KHwab taza hai dil mein naya KHayal bhi

aur jo mehrban rahe gardish-e-mah-o-sal bhi

milne ki ehtimam tak hum tere muntazir rahe

ab to nahin raha magar milne ka ehtimal bhi

waqt kahan ruka bhala par ye kise guman tha

umr ki zad mein aaega tujh sa pari-jamal bhi

us ne diye the phul jo ab use kya dikhaiye

rakhta nahin hai jabki dil KHwahish-e-indimal bhi

KHwab-e-jamal taza-tar aaya tha chor ki tarah

khurach ke dil se le gaya aap ke KHad-o-KHal bhi

lao to main hi Tank dun tare ko aasman par

mere hi hath se agar hona hai ye kamal bhi

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein KHwab Taza Hai Dil Mein Naya KHayal Bhi In English By Famous Poet Akram Mahmud. Aankhon Mein KHwab Taza Hai Dil Mein Naya KHayal Bhi is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Aankhon Mein KHwab Taza Hai Dil Mein Naya KHayal Bhi for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Aankhon Mein KHwab Taza Hai Dil Mein Naya KHayal Bhi in PDF.