Aankh Khulne Pe Bhi Hota Hun Usi KHwab Mein Gum

aankh khulne pe bhi hota hun usi KHwab mein gum

der tak rahta hun ek lazzat-e-nayab mein gum

soch hi soch mein tufan uTha deta hun

aur ho jata hun ek mauja-e-girdab mein gum

ek sitara jo chamakta hai lab-e-baam kahin

dekhte dekhte ho jata hai mahtab mein gum

bach rahe sans to jaana hai unhin galiyon mein

aur hona hai usi halqa-e-ahbab mein gum

aise nashshe se siwa aur nasha kya hota

aap ka KHwab jo ho jata mere KHwab mein gum

sajda-e-shauq ke mathon se nishan miTne lage

ho gai rasm-e-azan gumbad-o-mehrab mein gum

gum to hona tha ba-har-haal kisi manzar mein

dil hua KHwab mein gum aankh hui aab mein gum

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Khulne Pe Bhi Hota Hun Usi KHwab Mein Gum In English By Famous Poet Akram Mahmud. Aankh Khulne Pe Bhi Hota Hun Usi KHwab Mein Gum is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Aankh Khulne Pe Bhi Hota Hun Usi KHwab Mein Gum for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Aankh Khulne Pe Bhi Hota Hun Usi KHwab Mein Gum in PDF.