Agar Har Chiz Mein Usne Asar Rakkha Hua Hai

agar har chiz mein us ne asar rakkha hua hai

to phir ab tak mujhe kyun be-hunar rakkha hua hai

talluq zindagi se muKHtasar rakkha hua hai

ki shanon par nahin neze pe sar rakha hua hai

zamane se abhi tak puchhte hain us ki baaten

use hum ne abhi tak be-KHabar rakkha hua hai

ab aisi be-samar saat mein us ki yaad kaisi

ye dukh achchhe dinon ki aas par rakkha hua hai

nikalna chahta hai wusat-e-sahra mein wahshi

baDe jatanon se dil ko bandh kar rakkha hua hai

sada deta hai roz-o-shab koi aisa jazira

jahan mere bhi hisse ka samar rakkha hua hai

na jaane kaun si manzil pe bujh jaen meri aankhen

so main ne ek ek ham-safar rakkha hua hai

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Har Chiz Mein Usne Asar Rakkha Hua Hai In English By Famous Poet Akram Mahmud. Agar Har Chiz Mein Usne Asar Rakkha Hua Hai is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Agar Har Chiz Mein Usne Asar Rakkha Hua Hai for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Agar Har Chiz Mein Usne Asar Rakkha Hua Hai in PDF.