Koi Hunar To Meri Chashm-e-ashk-bar Mein Hai

koi hunar to meri chashm-e-ashk-bar mein hai

ki aaj bhi wo kisi KHwab ke KHumar mein hai

kisi bahaar ka manzar hai chashm-e-viran mein

kisi gulab ki KHushbu dil-e-figar mein hai

ajab taqaza hai mujh se juda na hone ka

ki jaise kaun-o-makan mere iKHtiyar mein hai

nishan-e-rah bhi Thahrega barishon ke baad

abhi ye naqsh kisi rah ke ghubar mein hai

ufuq ke aks kisi aaine mein kya simTin

ki shauq-e-jalwa abhi apne intishaar mein hai

makan ki koi KHabar la-makan ko kaise ho

safir-e-ruh abhi jism ke hisar mein hai

kamal-e-zabt ki saat kahin guzar bhi ja

sitara-e-shab-e-gham mere intizar mein hai

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Hunar To Meri Chashm-e-ashk-bar Mein Hai In English By Famous Poet Akram Mahmud. Koi Hunar To Meri Chashm-e-ashk-bar Mein Hai is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Koi Hunar To Meri Chashm-e-ashk-bar Mein Hai for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Koi Hunar To Meri Chashm-e-ashk-bar Mein Hai in PDF.