Manzil-e-KHwab Hai Aur Mahw-e-safar Pani Hai

manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai

aankh kya kholin ki ta-hadd-e-nazar pani hai

aaina hai to koi aks kahan hai is mein

kyun baha kar nahin le jata agar pani hai

ek KHwahish ki jo sahra-e-badan se nikli

khinchti hai usi jaanib ko jidhar pani hai

panw uThte hain kisi mauj ki jaanib lekin

rok leta hai kinara ki Thahar pani hai

ab bhi baadal to barasta hai par us par kahin

kisht-e-be-ab idhar aur idhar pani hai

khinchta hai koi sayyara tere pyason ko

us ilaqe mein jahan KHak-basar pani hai

chashm-e-nam aur dil labrez bahut hain mujh ko

KHitta-e-KHak hai aur zad-e-safar pani hai

(1028) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil-e-KHwab Hai Aur Mahw-e-safar Pani Hai In English By Famous Poet Akram Mahmud. Manzil-e-KHwab Hai Aur Mahw-e-safar Pani Hai is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Manzil-e-KHwab Hai Aur Mahw-e-safar Pani Hai for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Manzil-e-KHwab Hai Aur Mahw-e-safar Pani Hai in PDF.