Nikal Raha Hun Yaqin Ki Had Se Guman Ki Jaanib

nikal raha hun yaqin ki had se guman ki jaanib

safar hai mera zamin se aasman ki jaanib

munDer par koi chashm-e-tar thi ki aaina tha

sitara-e-sham dekhta tha makan ki jaanib

ye KHwab hai ya tilism koi ki KHushk patte

khinche chale ja rahe hain aab-e-rawan ki jaanib

koi to upar se bojh Dala gaya hai warna

jhuka hua aasman hai kyun KHak-dan ki jaanib

to phir mere sath us ka chalna muhaal Thahra

dhyan rahta tha us ka sud-o-ziyan ki jaanib

sukunat-e-qalb KHali sine pe aise utri

aman KHudi chal ke aa gai be-aman ki jaanib

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikal Raha Hun Yaqin Ki Had Se Guman Ki Jaanib In English By Famous Poet Akram Mahmud. Nikal Raha Hun Yaqin Ki Had Se Guman Ki Jaanib is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Nikal Raha Hun Yaqin Ki Had Se Guman Ki Jaanib for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Nikal Raha Hun Yaqin Ki Had Se Guman Ki Jaanib in PDF.