Sitara Aankh Mein Dil Mein Gulab Kya Rakhna

sitara aankh mein dil mein gulab kya rakhna

ki Dhalti umr mein rang-e-shabab kya rakhna

jo regzar-e-badan mein ghubar uDta ho

to chashm-e-KHak-e-rasida mein KHwab kya rakhna

safar nasib hi Thahra jo dasht-e-ghurbat ka

to phir guman mein fareb-e-sahab kya rakhna

jo Dub jaana hai ek din jazira-e-dil bhi

to koi naqsh sar-e-sath-e-ab kya rakhna

ulaT hi dena hai aaKHir piyala-e-jaan bhi

hawa ke dosh pe tasht-e-habab kya rakhna

bas itna yaad hai ek bhul si hui thi kahin

ab is se baDh ke dukhon ka hisab kya rakhna

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitara Aankh Mein Dil Mein Gulab Kya Rakhna In English By Famous Poet Akram Mahmud. Sitara Aankh Mein Dil Mein Gulab Kya Rakhna is written by Akram Mahmud. Read famous Poem Sitara Aankh Mein Dil Mein Gulab Kya Rakhna for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download Sitara Aankh Mein Dil Mein Gulab Kya Rakhna in PDF.