Gahri Suni Rah Aur Tanha Sa Main

gahri suni rah aur tanha sa main

raat apni chap se Darta sa main

tu ki mera aaina hota hua

aur tere aks mein Dhalta sa main

kab tere kuche se kar jaana hai kuch

is tasawwur se hi ghabraata sa main

meri rahon ke liye manzil tu hi

tere qadmon ke liye rasta sa main

aasman mein rang bikhraata sa tu

aur sarapa did ban jata sa main

hasrat-e-tabir se chhuTun kabhi

har nafas is KHwab mein jalta sa main

be-karan hota hua dasht-e-guman

aur yaqin ke dar par aaya sa main

na koi manzar na ab koi KHayal

ab har ek shai bhulta jata sa main

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahri Suni Rah Aur Tanha Sa Main In English By Famous Poet Akram Naqqash. Gahri Suni Rah Aur Tanha Sa Main is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Gahri Suni Rah Aur Tanha Sa Main for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Gahri Suni Rah Aur Tanha Sa Main in PDF.