Kuchh Fasla Nahin Hai Adu Aur Shikast Mein

kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein

lekin koi suragh nahin hai giraft mein

kuchh daKHl iKHtiyar ko ho bud-o-hast mein

sar kar lun ye jahan-e-alam ek jast mein

ab wadi-e-badan mein koi bolta nahin

sunta hun aap apni sada baz-gasht mein

ruKH hai mere safar ka alag teri samt aur

ek su-e-murgh-zar chale ek dasht mein

kis shah ka guzar hai ki mafluj jism-o-jaan

ji jaan se juTe hue hain band-o-bast mein

ye puchh aa ke kaun nasibon jiya hai dil

mat dekh ye ki kaun sitara hai baKHt mein

kis soz ki kasak hai nigahon ke aas pas

kis KHwab ki shikast umaD aai hai tasht mein

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Fasla Nahin Hai Adu Aur Shikast Mein In English By Famous Poet Akram Naqqash. Kuchh Fasla Nahin Hai Adu Aur Shikast Mein is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Kuchh Fasla Nahin Hai Adu Aur Shikast Mein for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Kuchh Fasla Nahin Hai Adu Aur Shikast Mein in PDF.