Lahu Tezab Karna Chahta Hai

lahu tezab karna chahta hai

badan ek aag dariya chahta hai

mayassar se ziyaada chahta hai

samundar jaise dariya chahta hai

ise bhi sans lene de ki har-dam

badan bahar nikalna chahta hai

mujhe bilkul ye andaza nahin tha

wo ab rasta badalna chahta hai

nai zanjir phailae hai banhen

koi aazad hona chahta hai

ruten badlin nae phal-phul aae

magar dil sab purana chahta hai

sukun kahiye jise hai raste mein

do ek pal hi mein aaya chahta hai

hawa bhi chahiye aur raushni bhi

har ek hujra daricha chahta hai

bagulon se bhara hai dasht sara

yahi to roz sahra chahta hai

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Tezab Karna Chahta Hai In English By Famous Poet Akram Naqqash. Lahu Tezab Karna Chahta Hai is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Lahu Tezab Karna Chahta Hai for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Lahu Tezab Karna Chahta Hai in PDF.