Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin

main nahin hun nahin kahin bhi nahin

ab koi aasman hai na zamin

ek duniya hui hai zer-e-nagin

shah-nashin ho gaya hai KHak-nashin

ye sukun bhi hua malal ke sath

wo bahar-taur ji raha hai yahin

bar-ha tu ne KHwab dikhlae

bar-ha hum ne kar liya hai yaqin

ek virana tha basa na kabhi

bastiyan hum se go hazar basin

jaise pani pe naqsh ho koi

raunaqen sab adam-sabaat rahin

ghurfa-e-dard kis ne khol diya

tu to ab mere aas-pas nahin

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin In English By Famous Poet Akram Naqqash. Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Main Nahin Hun Nahin Kahin Bhi Nahin in PDF.