Qarar-e-gud-shuda Mere KHuda Kab Aaega

qarar-e-gud-shuda mere KHuda kab aaega

meri duaon mein rang-e-dua kab aaega

badan se bharne lage hain hum apni ruh ke ghaw

hamein saliqa-e-daru-dawa kab aaega

yahin kahin se wo aawaz de raha hai magar

nawah-e-jaan mein mera na-KHuda kab aaega

ghurub hota hua raushni ka sayyara

andhere mausamon mein kya pata kab aaega

samaaton ko meri murgh-zar karne ko

KHamosh dasht mein naKHl-e-sada kab aaega

hazar karwan yun to hain mere sath magar

jo mere nam hai wo qafila kab aaega

fasilen TuT gain ho gae mahal mismar

khanDar mein raat gae dusra kab aaega

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarar-e-gud-shuda Mere KHuda Kab Aaega In English By Famous Poet Akram Naqqash. Qarar-e-gud-shuda Mere KHuda Kab Aaega is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Qarar-e-gud-shuda Mere KHuda Kab Aaega for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Qarar-e-gud-shuda Mere KHuda Kab Aaega in PDF.