Tu Sath Hai Magar Kahin Tera Pata Nahin

tu sath hai magar kahin tera pata nahin

shaKHon pe dur tak koi patta hara nahin

KHamoshiyan bhari hain fazaon mein in dinon

hum ne bhi mausamon se idhar kuchh kaha nahin

tu ne zaban na kholi suKHan main ne chun liye

tu ne wo paDh liya jise main ne likha nahin

ye kaun si jagah hai ye basti hai kaun si

koi bhi is jahan mein tere siwa nahin

chaliye bahut qarib se sab dekhna hua

apne guman se haT ke kahin kuchh hua nahin

chhoDa hai jaane kis ne mujhe baal-o-par ke sath

ye kin bulandiyon pe jahan par hawa nahin

rang-e-talab hai kaun si manzil mein kya kahen

aankhon mein muddaa nahin lab par sada nahin

pichhe tere ai rahat-e-jaan kuchh na puchhiyo

kya kya hua nahin yahan kya kuchh hua nahin

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Sath Hai Magar Kahin Tera Pata Nahin In English By Famous Poet Akram Naqqash. Tu Sath Hai Magar Kahin Tera Pata Nahin is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Tu Sath Hai Magar Kahin Tera Pata Nahin for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Tu Sath Hai Magar Kahin Tera Pata Nahin in PDF.