Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun

kyun aankhen band kar ke raste mein chal raha hun

kya main bhi rafta rafta patthar mein Dhal raha hun

chaaron taraf hain shole ham-sae jal rahe hain

main ghar mein baiTha baiTha bas hath mal raha hun

mere dhuen se meri har sans ghuT rahi hai

main rah ka diya hun aur ghar mein jal raha hun

aankhon pe chha gaya hai koi tilism shayad

palken jhapak raha hun manzar badal raha hun

tabdiliyon ka nashsha mujh par chaDha hua hai

kapDe badal raha hun chehra badal raha hun

is faisle se KHush hain afrad ghar ke sare

apni KHushi se kab main ghar se nikal raha hun

in pattharon pe chalna aa jaega mujhe bhi

Thokar to kha raha hun lekin sambhal raha hun

kanTon pe jab chalunga raftar tez hogi

phulon bhari rawish par bach bach ke chal raha hun

chashme ki tarah 'alam' ashaar phuTte hain

koh-e-giran ki surat mein bhi ubal raha hun

(1539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun In English By Famous Poet Alam Khursheed. Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun in PDF.