Main Jidhar Jaun Mera KHwab Nazar Aata Hai

main jidhar jaun mera KHwab nazar aata hai

ab taaqub mein wo mahtab nazar aata hai

gunjti rahti hain sahil ki sadaen mujh mein

aur samundar mujhe betab nazar aata hai

itna mushkil bhi nahin yar ye maujon ka safar

har taraf kyun tujhe girdab nazar aata hai

kyun hirasan hai zara dekh to gahrai mein

kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar aata hai

main to tapta hua sahra hun mujhe KHwabon mein

be-sabab KHitta-e-shadab nazar aata hai

rah chalte hue bechaari tahi-dasti ko

sang bhi gauhar-e-nayab nazar aata hai

ye nae daur ka bazar hai 'alam'-sahib

is jagah TaT bhi kam-KHwab nazar aata hai

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jidhar Jaun Mera KHwab Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Alam Khursheed. Main Jidhar Jaun Mera KHwab Nazar Aata Hai is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Main Jidhar Jaun Mera KHwab Nazar Aata Hai for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Main Jidhar Jaun Mera KHwab Nazar Aata Hai in PDF.