Tah-ba-tah Hai Raaz Koi Aab Ki Tahwil Mein

tah-ba-tah hai raaz koi aab ki tahwil mein

KHamushi yun hi nahin rahti hai gahri jhil mein

main ne bachpan mein adhura KHwab dekha tha koi

aaj tak masruf hun us KHwab ki takmil mein

har ghaDi ahkaam jari karta rahta hai ye dil

hath bandhe main khaDa hun hukm ki tamil mein

kab meri marzi se koi kaam hota hai tamam

har ghaDi rahta hun main kyun be-sabab tajil mein

mangti hai ab mohabbat apne hone ka subut

aur main jata nahin izhaar ki tafsil mein

muddaa tera samajh leta hun teri chaal se

tu pareshan hai abas alfaz ki tawil mein

apni KHatir bhi to 'alam' chiz rakhni thi koi

ab kahan kuchh bhi bacha hai teri is zambil mein

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tah-ba-tah Hai Raaz Koi Aab Ki Tahwil Mein In English By Famous Poet Alam Khursheed. Tah-ba-tah Hai Raaz Koi Aab Ki Tahwil Mein is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Tah-ba-tah Hai Raaz Koi Aab Ki Tahwil Mein for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Tah-ba-tah Hai Raaz Koi Aab Ki Tahwil Mein in PDF.