Siyah Raat Ke Badan Pe Dagh Ban Ke Rah Gae

siyah raat ke badan pe dagh ban ke rah gae

hum aaftab the magar charagh ban ke rah gae

kisi ko ishq mein bhi ab junun se wasta nahin

ye kya hua ki sare dil dimagh ban ke rah gae

wo shaKH shaKH nile pile lal rang kya hue

tamam dasht ke parind zagh ban ke rah gae

jinhen ye zoam tha zamin se tishnagi miTaenge

ajab hua wahi tahi-ayagh ban ke rah gae

milega sab ko apna haq rahenge sab sukun se

magar wo sare wade sabz bagh ban ke rah gae

ujaDte hain roz hum basi-basai bastiyan

KHusha wo log jo makin-e-ragh ban ke rah gae

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyah Raat Ke Badan Pe Dagh Ban Ke Rah Gae In English By Famous Poet Alam Khursheed. Siyah Raat Ke Badan Pe Dagh Ban Ke Rah Gae is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Siyah Raat Ke Badan Pe Dagh Ban Ke Rah Gae for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Siyah Raat Ke Badan Pe Dagh Ban Ke Rah Gae in PDF.