Nae Sire Se Koi Safar Aaghaz Nahin Karta

nae sire se koi safar aaghaz nahin karta

jaane kyun ab dil mera parwaz nahin karta

kitni buri aadat hai main KHamosh hi rahta hun

jab tak mujh se koi suKHan aaghaz nahin karta

kaise zinda rahta hun main zahr ko pi kar ab

diwar-o-dar ko bhi to hamraaz nahin karta

taza hawa ke jhonke aksar aate rahte hain

aaKHir kyun main apne dariche baz nahin karta

jaane kaisa rag bajaana sikh liya dil ne

meri sangat ab koi dam-saz nahin karta

ahl-e-hunar ki aankhon mein kyun chubhta rahta hun

main to apni be-hunari par naz nahin karta

mujh mein kuchh hoga to duniya KHud jhuk jaegi

main neze par sar apna afraaz nahin karta

waqt ke sare chakkar hain ye 'alam'-ji warna

yahan kisi ko koi nazar-andaz nahin karta

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nae Sire Se Koi Safar Aaghaz Nahin Karta In English By Famous Poet Alam Khursheed. Nae Sire Se Koi Safar Aaghaz Nahin Karta is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Nae Sire Se Koi Safar Aaghaz Nahin Karta for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Nae Sire Se Koi Safar Aaghaz Nahin Karta in PDF.